- “Hazrat Ubaadah Bin Saamit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Hamein Shabe Qadr Ke Baare Me Bataaye To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Yah (Raat) Mahe Ramadaan Ke Aakhri Ashre Me Ikkisawi-21, Teiswi-23, Pachchiswi-25, Sattaiswi-27, Untisawi-29 Ya Ramadaan Kee Aakhiri Raat Hoti Hai.
Jo Banda Is Me Imano Sawaab Ke Iraade Se Qiyaam Kare Us Ke Agle Pichhle (Tamaam) Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.”
رواه أحمد و الطبراني.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/318, 321, 324, Raqam-22765, 22793, 22815,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/71, Raqam-1284,
Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/65, Raqam-1507,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 03/175, 176,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-12, 13, Raqam-05.]