Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 06

  1. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Par Tashreef Farma Huwe To Teen³ Baar Aameen, Aameen, Aameen Farmya.
    Arz Kiya Gaya :
    Ya RasoolAllah ﷺ !
    Aap Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe To Aap Ne Aameen, Aameen, Aameen Farmaya (Is Kee Kya Wajah Hai ?).
    Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Mere Paas Haazir Huwe Aur Kahne Lage :
    Jis Shakhs Ne Mahe Ramadaan Paaya Aur Us Kee Maghfirat Na Ho Saki To Woh Aag Me Gaya, Use Allah Ta’ala Apni Rahmat Se Door Kar De.
    (Aye Habibe Khuda !) Aap Aameen Kahein.
    Us Par Mein Ne Aameen Kaha Aur Jis Shakhs Ne Maa Baap Dono’n Ko Paaya Ya Un Me Se Kisi Aik Ko Paaya Aur Un Ke Saath Neki Na Kee Aur Mar Gaya To Woh Aag Me Gaya.
    Allah Ta’ala Use Apni Rahmat Se Dur Kar De :
    (Aye Habibe Khuda !) Aap Aameen Kahein .
    To Mein Ne Aameen Kaha Aur Woh Shakhs Jis Ke  Paas Aap Ka Zikr Kiya Gaya Aur Us Ne Aap Par Durood Na Padha Aur Usi Haalat Me Mar Gaya To Woh Bhi Aag Me Gaya.
    Allah Ta’ala Use Apni Rahmat Se Dur Kar De (Aye Habibe Khuda !) Aap Aameen Kahein To Mein Ne Aameen Kaha.”

رواه ابن خزيمة و ابن حبان و اللفظ له.

[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/192, Raqam-1888,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/188, Raqam-907,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/225, Raqam-646,

Bazzar Fi Al-Musnad, 04/240, Raqam-1405,

Bazzar Fi Al-Musnad,  09/247, Raqam-3790,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/328, Raqam-5922,

Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/304, Raqam-8287,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/17, Raqam-8994,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/243, Raqam-2022,

Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/57, Raqam-1481,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-13, 14, Raqam-06.]