- “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya :
Jab Mahe Ramadaan Shuroo’ Ho Jaata To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apna Kamar Band Kas Lete Phir Aaap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apne Bistar Par Tashrif Nahin Laate They Yaha’n Tak Ki Ramadaan Guzar Jaata.”
رواه ابن خزيمة و أحمد و البيهقي.
–
[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/342, Raqam-2216,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/66, Raqam-24422,
Bayhaqui Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/310, Raqqm-3624,
Siyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/143, Raqam-211,
At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-14, Raqam-07.]