Posted in 01 : Fazilate Qiyame Ramadaan Ka Bayan, Bees Rak’at Namaze Tarawih Ka Suboot

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih : 02

  1. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
    Jis Shakhs Ne Halate Iman Mein Aur Sawaab Kee Niyyat Se Ramadaan Ke Roze Rakhe To Us Ke Saabiqa Gunaah Mu’aaf Kar Diye Jaate Hain Aur Jo Ramadaan Me Iman Kee Haalat Aur Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Karta Hai To Us Ke (Bhi) Saabiqa Gunaah Mu’aaf Kar Diye Jaate Hain Aur Jo Laylat-ul-Qadr Me Iman Kee Haalat Aur Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Kare Us Ke Guzishta Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hain.”

متفق عليه.

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/709, Raqam-1910, 37, 38, 1801, 1905,

Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqam-740,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqam-808,

Aboo Dawud As-Sunan, 02/49, Raqam-1371,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/156, Raqam-02, 22,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/526, Raqam-1641,

At-Tasrihu Fi Salat-it-Tarawih, Safha-09, 10, Raqam-02.]