Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

“Durood-o-Salaam”

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

Allah Rabb-ul-Izzat Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood-o-Salaam Padhne Kee Talqeen Karte Hu’e Iershaad Farmaaya :

إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا۝

          “Be Shak Allah Aur Us Ke (Sab) Firshte Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Par Durood Bhejte Rehte Hain, Aye Imaan Waalo! Tum (Bhi) Un Par Durood Bheja Karo Aur Khoob Salaam Bheja Karo.”

[Al-Aḥzāb, 33 : 56.]

Allah Taabarak Wa-Ta’ala Ke Khusoosi Fadl-o-Karam Aur Us Kee Taufiq-o-Inaayate Khaas Se Aaj Ka Yeh Roohaani Ijtema’ Ham Sab Ke Li’e Baa’ithe Sa’aadat-o-Barakat Hai. Aaj Gosha-E-Durood Ke Baa-Zaabta Iftetaah Ke Mauqa’ Par Is Ijtemaa’ Ka In’eqaad Kiya Gaya Hai, Is Yaadgaar, Baa-Waqaar Aur Taareekhi Mauqa’ Par Aaj Kee Guftagu Ka Mauzoo’ “Durood-o-Salaam” Hai.

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/13.]