Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Ibtedaa’iyyah

Durood-o-Salaam Aik Aisi Munfarad Aur Be Misl Ibaadaat Hai Jo Riza-E-Ilaahi Aur Qurbate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Mo’atthir Zari’a Hai. Is Maqbool Tareen Ibaadat Ke Zari’e Ham Baargaahe Iyzdi Se Fauri Barakaat Ke Husool Aur Qubooliyyate Du’aa Kee Ne’mat Se Sarfaraaz Ho Sakte Hain.

Sahaaba-E-Kiraam Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Bhi Isi Amale Khayr Ke Zari’e Na Sirf Apne Mahboob Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Qurb Paaya Balki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Mo’attar Saanso’n Se Apni Rooho’n Ko Mehkaaya Aur Garmaaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Rookhe Anwar Kee Tajalliyyaat Se Hee Sahaaba-E-Kiraam Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Apne Mashaame Jaa’n Ko Mo’attar Kiya Aur Is Tarah Unhein Sarkaare Do Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Khusoosi Ta’alluq Aur Sangat Kee Ne’mat Naseeb Hu’i. Agar Ghaur Kiya Jaa’e To Ma’loom Hoga Ki Zaate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ta’alluq Hee Woh Ne’mate Khaas Hai Jo Aaj Hamein Maqaam-o-Martaba Aur Izzat-o-Sharf Jaisi Laa-Zawaal Ne’mato’n Se Nawaaz Sakti Hai.

Agar Ham Allah Ta’ala Ke Ata Karda Nizaame Ibaadaat Par Nigaah Daudaa’ein To Hamein Ko’i Ibaadat Aisi Dikhaa’i Nahin Deti Jis Kee Qubooliyyat Ka Yaqeene Kaamil Ho Jab Ki Durood-o-Salaam Aik Aisi Ibaadat Aur Aisa Nek Amal Hai Jo Har Haal Me Allah Ta’ala Kee Baargaah Me Maqbool Hai. Isi Tarah Tamaam Ibaadaat Ke Li’e Makhsoos Haalate, Waqt, Jagah Aur Tareeqe Kaar Ka Hona Zaroori Hota Hai. Jab Ki Durood-o-Salaam Ko Jis Haal Aur Jis Jagah Bhi Padha Jaa’e Allah Ta’ala Use Qubool Farmaata Hai. Yehi Waj’h Hai Ki Aashiqaane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apni Tamaam Tar Ibaadaat Ko Allah Ta’ala Kee Baargaah Me Pesh Karte Waqt Awwal-o-Aakhir Durood-o-Salaam Ka Zeena(Seedi, Raasta) Saja Dete Hain Taa Ki Allah Ta’ala Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Naam Ke Sadqe Hamaare Bandagi Aur Ibaadat Ko Qubool Farma Le.

 

Qur’ane Hakeem Me Allah Rabb-ul-Izzat Ne Irshaad Farmaaya :

وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلاَئِكَةِ اسْجُدُواْ لِآدَمَ فَسَجَدُواْ إِلاَّ إِبْلِيسَ أَبَى وَاسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ۝

          “Aur (Woh Waqt Bhi Yaad Karein) Jab Ham Ne Firishto’n Se Farmaaya Ki Aadam (‘Alayh-is-Salam) Ko Sajda Karo To Sab Ne Sajda Kiya Siwaa’e Iblis Ke, Us Ne Inkaar Kiya Aur Takabbur Kiya Aur (Nateejatan) Kaafiro’n Me Se Ho Gaya.”

[Al-Baqarah, 02 : 34]

Qur’an Hakeem Kee Madhkoora Baala Aayate Kareema Se Waazeh Hota Hai Ki Jab Allah Ta’ala Ne Apne Awwaleen Paighambar Hazrat Aadma ‘Alayh-is-Salam Ke Li’e Apne Firishto’n Ko Sajda Kar Ne Ka Hukm Diya To Siwaa’e Iblis Ke Sab Firishto’n Ne Sajda Kiya. Is Se Baari Ta’ala Ka Firishto’n Ke Saamne Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Kee Fazeelat Ko Ujaagar Karna Maqsood Tha Magar Jab Baari Ta’ala Ne Apne Habibe Mukarram Sayyidina Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Fazeelat Ko Ujaagar Karna Chaha To Firishto’n Sirf Durood Padhne Ka Hukm Nahin Diya, Balki Soorah Ahzaab Kee Is Aayate Kareema Me Farmaaya :

إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا۝

          “Be Shak Allah Aur Us Ke (Sab) Firshte Nabiyye(Mukarram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Par Durood Bhejte Rehte Hain, Aye Imaan Waalo! Tum (Bhi) Un Par Durood Bheja Karo Aur Khoob Salaam Bheja Karo.”

[Al-Aḥzāb, 33 : 56.]

 

Yeh Aayate Mubaaraka Waazeh Karti Hai Ki Nabiyye Aakhir-uz-Zamaa’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejne Me na Sirf Tamaam Firishte Shareek Hu’e Balki Bari Ta’ala Khud Shareek Huwa. Is Aayate Kareema Ka Soorat-ul-Baqarah Kee Darj Baala Aayate Kareema Se Muwaazana Kiya Jaa’e To Darje Dhayl Aham Nikaat Kee Nishaandehi Hoti Hai :

  1. Allah Ta’ala Ne Firsihto’n Ko Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Ko Sajda Kar Ne Ka Hukm Diya Magar Woh Khud Choo’n Ki Is Se Paak Hai Is Li’e Is Amal Me Shareek Nahin Huwa, Jab Ki Apne Pyaare Habibe Mukrram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejne Me Firishto’n Ke Saath Khud Bhi Shareek Huwa. Is Se Ma’loom Huwa Ki Nabiyye Aakhir-uz-Zamaa’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Fazeelat Aur Maqaam-o-Martaba Hazrat Aadam ‘Alayh-is-Salam Se Bartar Hai.
  2. Firishto’n Ne Aadam ‘Alayh-is-Salam Ko Sirf Aik baar Sajda Kiya Tha Magar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Woh Har Waqt Aur Har Lamha Durood Shareef Padhte Rehte Hain Aur Ko’i Zamaana Is Se Khaali Nain Hota.
  3. Allah Ta’ala Ke Durood Bhejne Ka Matlab Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Rahmat Bhejna, Har Ba’d Kee Ghadi Ko Pehli Se Behtar Banaana Aur Apne Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Maqaame Mahmood Par Faa’iz Farmaana Hai.
  4. Firishto’n Ke Durood Bhejne Ka Maqsad Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Maqaam-o-Martaba Aur Fazaa’il-o-Kamaalaat Me Izaafa Kee Du’aa Karna, Aur Is Ke Zari’e Ummat Ke Li’e Bakhshish-o-Maghfirat Talab Karna Hai.
  5. Momineen Wa Mominaat Ke Ke Durood Bhejne Ka Maqsad Apne Aaqa-o-Mawla Ka Zikre Jameel Karna, Aap Kee Ta’reef-o-Thana’ Karna Aur Apne Li’e Is Amal Se Bakhshish-o-Maghfirat Ka Husool Hai.
  6. Allah Ta’ala Ke Hukm Se Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Anwar Par Sattar Hazaar Firshte Sub’h Aur Sattar Hazaar Firishte Shaam Ko Haazir Ho Kar Duroode Paak Ka Tohfa Pesh Karte Hain Aur Jo Aik Martaba Yeh Sa’aadat Haasil Kar Lete Hain. Phir Do Baara Qiyaamat Tak Un Ko Mauqa Nahin Milega Kyoo’n Ki Allah Ta’ala Is Sa’aadat Me Apne Tamaam Firishto’n Ko Shareek Karna Chaahta Hai Jin Kee Ta’daad Aqle Insaani Kee Pahonch Se Bhi Maawara’ Hai.

Isi Fazeelate Durood-o-Salaam Aur Azamat Wa Shaane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mauzoo’ Par Yeh Kitaabcha Shaykh-ul-Islam Doctoe Muhammad Tahir-ul-Qadri Madda Zillooh-ul-‘Aali Kee Maahaana Majlis Khatm-us-Salaat ‘Ala-‘n-Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Roohaani Ijte’ma Me Ki’e Ga’e Pehle Khitaab Par Mushtaml Hai. Jis Kee Ahammiyyat Ke Peshe Nazar Qaare’iyn Ke Istefaadah Ke Li’e Murattab Kar Ke Minhaaj-ul-Qur’an Ulama’ Counsil Ke Zere Ehtemaam Shaa’e Karne Kee Sa’aadat Haasil Kee Jaa Rahi Hai. Insha’ Allah Isi Tarah Baqiyya Roohaani Khjtaabaat Ko Bhi Murattab Kar Ke Nazare Qaare’iyn Kiya Jaa’ega.

Allah Ta’ala Se Du’aa Hai Ki Woh Ba-Waseela Khayr-ul-Anaam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Qaa’ide Tehreek Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Ko Umre Khizar Ata Farmaa’e Aur Tehreeke Minhaj-ul-Qur’an Ko Har Maqaam Par Kaamyaabi Wa Kaamraani Se Nawaaze. (Aameen Bijaahi Syyid-il-Mursaleen SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)

 

Murattab!

Muhammad Husayn Aazaad Al-Azhari

(Editor Majallah Al-Ulama’)


[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/07_11.]