Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 23

٢٣.          عَنْ أَنَسٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ قَالَ: ذُکِرَ لِي أَنَّ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ: وَلَمْ أَسْمَعْهُ مِنْهُ: إِنَّ فِيْکُمْ قَومًا يَعْبُدُونَ وَ يَدْأَبُونَ حَتَّی يُعْجَبَ بِهِمُ النَّاسُ وَ تُعْجِبَهُمْ نُفُوسُهُمْ يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّيْنِ مُرُوقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَةِ.

رَوَاهُ أَحْمَدُ وَ رِجَالُهُ رِجَالُ الصحيح.

23.          “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mujhe Bataaya Gaya Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Hai Aur Mein Ne Khud Yeh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Nahin Suna, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Be-Shak Tum Me Se Aise Log Honge Jo ‘Ibadat Karenge Aur Apni ‘Ibadat Me Tandehi Se Kaam Lenge Yaha’n Tak Ki Woh Logo’n Ko Bhale Lagenge Aur Woh Khud Bhi Apne Aap Par Itara’enge Haala’n Ki Woh Deen Se Is Tarh Khaarij Honge Jis Tarh Ki Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/183, Raqm-12909,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/229,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-37, Raqm-23.]