١٣. عَنْ شَرِيْکِ بْنِ شِهَابٍ قَالَ: کُنْتُ أتَمَنَّی أنْ ألْقَی رَجُلاً مِنْ أصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ أسْألُهُ عَنِ الْخَوَارِجِ، فَلَقِيْتُ أبَا بَرْزَةَ فِي يَومِ عِيْدٍ فِي نَفَرٍ مِنْ أصْحَابِهِ فَقُلْتُ لَهُ: هَلْ سَمِعْتَ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَذْکُرُ الْخَوَارِجَ؟ فَقَالَ: نَعَمْ، سَمِعْتُ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ بِأذُنِي وَرَأيْتُهُ بِعَيْنِي أتِيَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ بِمَالٍ فَقَسَمَهُ، فَأعْطَی مَنْ عَنْ يَمِيْنِهِ وَ مَنْ عَنْ شِمَالِهِ، وَلَمْ يُعْطِ مَنْ وَرَاءَهُ شَيْئًا، فَقَامَ رَجُلٌ مِنْ وَرَائِهِ. فَقَالَ: يَا مُحَمَّدُ، مَا عَدَلْتَ فِي القِسْمَةِ، رَجُلٌ أسْوَدُ مَطْمُومُ الشَّعْرِ، عَلَيْهِ ثَوْبَانِ أبْيَضَانِ (وزَادَ أحْمدُ: بَيْنَ عَيْنَيْهِ أثَرُ السُّجُودِ(، فَغَضِبَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ غَضَبًا شَدِيْدًا، وَ قَالَ: وَاﷲِ، لَا تَجِدُوْنَ بَعْدِي رَجُلًا هُوَ أعْدَلُ مِنِّي، ثُمَّ قَالَ: يَخْرُجُ فِي آخِرِ الزَّمَانِ قَوْمٌ کَأنَّ هَذَا مِنْهُمْ (وَ فِي رِوَايَةٍ: قَالَ: يَخْرُجُ مِنْ قِبَلِ الْمَشْرِقِ رِجَالٌ کَانَ هَذَا مِنْهُمْ هَدْيُهُمْ هَکَذَا) يَقْرَءُوْنَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ، يَمْرُقُونَ مِنَ الإِسْلَامِ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ، سِيْمَاهُمُ التَّحْلِيْقُ، لَا يَزَالُوْنَ يَخْرُجُونَ حَتَّی يَخْرُجَ آخِرُهُمْ مَعَ المَسِيْحِ الدَّجَّالِ، فَإِذَا لَقِيْتُمُوهُمْ فَاقْتُلُوهُمْ، هُمْ شَرُّ الْخَلْقِ وَالْخَلِيْقَةِ.
رَوَاهُ النَّسَائِيُّ وَ أحْمَدُ وَالْبَزَّارُ وَالْحَاکِمُ.
.وَقَالَ الْحَاکِمُ: هَذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحٌ. وَ رِجَالُهُ رِجَالُ الصحيح کَمَا قَالَ الْهَيْثَمِيُّ
13. “Hazrat Sharik Bin Shihab Ne Bayan Kiya Ki Mujhe Is Baat Kee Khaahish Thi Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kisi Sahaabi Se Miloo’n Aur Un Se Khawaarij Ke Muta’alliq Daryaaft Karoo’n. Ittefaaqan Mein Ne Eid Ke Roz Hazrat Aboo Barzah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Aap Ke Ka’i Dosto’n Ke Saath Dekha Mein Ne Daryaaft Kiya: Kya Aap Ne Khaarjiyo’n Ke Baare Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Kuchh Suna Hai? Aap Ne Farmaya: Haa’n, Mein Ne Apne Kaano’n Se Suna Aur Aankho’n Se Dekha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Kuchh Maal Pesh Kiya Gaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Maal Ko Un Logo’n Me Taqseem Farma Diya Jo Daa’in Aur Baa’in Taraf Baithey Hu’e They Aur Jo Log Peechhe Baithey They Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Kuchh ‘Inaayat Na Farmaya, Chuna’nche Un Me Se Ek Shakhs Khada Hu’a Aur Us Ne Kaha, Ae Muhammad! Aap Ne Insaaf Se Taqseem Nahin Kee. Woh Siyaah Rang, Sar Munda Aur Sufed Kapde Pehne Hu’e Tha. (Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Izaafa Kiya Ki Us Kee Dono’n Aankho’n Ke Darmiyan (Peshaani Par) Sajdon Ka Asar Tha). Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Shadeed Naaraaz Hu’e Aur Farmaya: Khuda Kee Qasam! Tum Mere Baa’d Mujh Se Badh Kar Kisi Shakhs Ko Insaaf Karne Waala Na Paa’oge, Phir Farmaya: Aakhiri Zamaane Me Kuchh Log Paida Honge Yeh Shakhs Bhi Unhi’n Logo’n Me Se Hai (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mashriq Kee Taraf Se Ek Qaum Niklegi Yeh Aadami Bhi Un Logo’n Me Se Hai Aur Un Ka Taur Tareeqa Bhi Yahi Hoga) Woh Qur’an Majeed Kee Tilawat Karenge Magar Qur’an Un Ke Halq Se Neeche Na Utrega Woh Islam Se Is Tarh Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai. Un Kee Nishaani Yeh Hai Ki Woh Sar Munde Honge, Hamesha Nikalte Hee Rahenge Yaha’n Tak Ki Un Ka Aakhiri Giroh Dajjaal Ke Saath Niklega Jab Tum Un Se Milo To Unhe’n Qatl Kar Do. Woh Tamaam Makhlooq Se Bad-Tareen Hain.”
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, Raqm-4103,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/312, Raqm-3566,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/421,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/294, 305, Raqm-3846,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/160, Raqm-2647,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/559, Raqm-37917,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/452, Raqm-927,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/124, Raqm-923,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,12/292,
Qaysrani Tazkirat-ul-Huffaz, 03/1101,
Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/188,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-25, 26, 27, Raqm-13.]