Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 36

          “Hazrat Aboo Ja’far Bin Muhammad Bin Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai, Woh Bayaan Karte Hain Sayyidah Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ko – Jab Woh Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Giraa’n Baar Thi’n – Hukm Diya Gaya Ki Apne Hone Waale Bacche Ka Naam ‘Ahmad’ Rakkhe’n.”

Ise Imam Ibn Sa’d Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/98, 104,

Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/72,

Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/128,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/75_76, Raqm-36.]