“Hazrat Abd-ir-Rahman Bin Awf رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Apni Waalida Mohtarma Hazrat Shifa’ Bint Amr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Karte Hain, Woh Bayaan Karti Hain : Jab Hazrat Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Hazrat Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Janm Diya To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mere Haatho’n Par Raunaq Afroz Hu’e Aur Kuchh Girya Kiya. Mein Ne Suna Ki Koi Keh Raha Tha : Allah Ta’ala Aap Par Rahmato’n Kee Barsaat Kare. Hazrat Shifa’ Farmaati Hain : Us Waqt Mujh Par Mashriq Se Magharib Tak Saari Zameen Raushan Ho Ga’i Hatta Ki Mein Ne Shaam Ke Baa’z Mahallaat Dekh Liye. Woh Bayaan Farmaati Hain Ki Phir Mein Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Libaas Pehnaaya Aur Bistar Par Lita Diya, Kuchh Hee Lamho’n Baa’d Mujh Par Taareeki, Ro’b Aur Larza Taari Ho Gaya. Phir Meri Daa’iy’n Taraf Raushni Hu’i Aur Mein Ne Kisi Kee Aawaazein Suni : Tum Inhein Kaha’n Le Ga’e They? Us Ne Jawaab Diya : Maghrib Kee Taraf. Ab Phir Mujh Par Baa’iy’n Taraf Se Ro’b-o Khuf Taari Huwa, Phir Raushni Hu’i Aur Mein Ne Kisi Kee Aawaaz Suni : Tum Unhe’n Kaha’n Le Ga’e They? Us Ne Jawaab Diya : Mashriq Kee Taraf, Ab Un Ka Zikr Waha’n Se Kabhi Khatm Na Hoga. Hazrat Shifa’ Farmaati Hain : Yeh Waaqe’a Hamesh Mere Dil Me Taaza Raha Taa Aa’n Ki Allah Ta’ala Ne Apne Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Be’that Se Sarfaraaz Farmaaya Aur Mein Sab Se Pehle Islaam Laane Waalo’n Me Se Thi.”
Ise Imam Aboo Nu’aym Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/136, Raqm-77,
Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/80,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/76_77, Raqm-37.]