Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 38

          “Hazrat Ali Bin Abi Talib كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayaan Karte Hain Ki Unhone Hazrat Aboo Talib (رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ) Se Suna. Woh Bayaan Karte Hain They : Jab Hazrat Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Janm Diya To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Jaade Amjad Hazrat Abd-ul-Muttalib Tashrif Laa’e Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Uthaaya, Maathey Par Bosa Diya, Phir Hazrat Aboo Talib Ke Hawaale Karte Hu’e Farmaya : Yeh Tumhaare Paas Meri Amaanat Hai, Mere Is Bete Kee Bohat Badi Shaan Hogi. Phir Hazrat Abd-ul-Muttalib Ne Oont Aur Bakriya’n Dhab’h Karwaa’i Aur Tamaam Ahle Makkah Kee Teen Din Tak  Ziyaafat Kee. Phir Makkah Mukarramah Kee Taraf Aane Waale Har Raaste Par Oont Dhab’h Karwa Ke Rakkh Diye Jin Se Tamaam Insaano’n, Jaanwaro’n Aur Parindo’n Ko Gosht Lene Kee Ijaazat Thi.”

Ise Imam Aboo Nu’aym Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/138, Raqm-81,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/77_78, Raqm-38.]