Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 10

١٠.          عَنْ أَبِي سَعِيْدٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ذَکَرَ قَومًا يَکُونُونَ فِي أُمَّتِهِ يَخْرُجُونَ فِي فُرْقَةٍ مِنَ النَّاسِ سِيْمَاهُمُ التَّحَالُقُ، قَالَ: هُمْ شَرُّالْخَلْقِ (أَوْ مِنْ أَشَرِّالْخَلْقِ) يَقْتُلُهُمْ أَدْنَی الطَّائِفَتَيْنِ إِلَی الْحَقِّ، قَالَ: فَضَرَبَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ لَهُمْ مَثَلاً أَوْ قَالَ قَولاً: الرَّجُلُ يَرْمِی الرَّّمِيَّةَ (أَوْ قَالَ: الْغَرَضَ) فَيَنْظُرُ فِي النَّصْلِ فَلاَ يَرَی بَصِيْرَةً وَيَنْظُرُ فِي النَّضِيِّ فَلاَ يَرَی بَصِيرَةً وَيَنْظُرُ فِي الْفُوقِ فَلَا يَرَی بَصِيْرَةً. رَوَاهُ مُسْلِمٌ.

10.          “Hazrat Aboo Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Qaum Ka Zikr Kiya Jo Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Me Paida Hogi, Us Ka Zahoor Us Waqt Hoga Jab Logo’n Me Firqa-Bandi Ho Jaa’egi. Un Kee ‘Alaamat Sar-Mundaana Hogi Aur Woh Makhlooq Me Sab Se Bad-Tar (Ya Bad-Tareen) Honge Aur Unhe’n Do Jama’ato’n Me Se Woh Jama’at Qatl Karegi Jo Haqq Ke Ziyaada Qareeb Hogi, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Logo’n Kee Ek Misaal Bayan Farma’i Ki Jab Aadami Kisi Shikaar Ya Nishaana Ko Teer Maarta Hai To Par Ko Dekhta Hai Us Me Kuchh Asar Nahin Hota Aur Teer Kee Lakdi Ko Dekhta Hai Aur Waha’n Bhi Asar Nahin Hota, Phir Us Hisse Ko Dekhta Hai Jo Teer-Andaaz Kee Chutki Me Hota Hai To Waha’n Bhi Kuchh Asar Nahin Paata.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02/745, Raqm-1065,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/05, Raqm-11031,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/622, Raqm-1482,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-21, 22, Raqm- 10.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 11

١١.          عَنْ أبِي سَلَمَةَ وَ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ: أنَّهُمَا أتَيَا أبَا سَعِيْدٍ الْخُدْرِيَّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ فَسَألاَهُ عَنِ الْحَرُوْرِيَّةِ أ سَمِعْتَ النَّبِيَّ صلي الله عليه وآله وسلم ؟ قَالَ: لَا أدْرِي مَا الْحَرُوْرِيَّةُ؟ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلي الله عليه وآله وسلم يَقُولُ: يَخْرُجُ فِي هَذِهِ الْأمَّةِ وَ لَمْ يَقُلْ مِنْهَا قَوْمٌ تَحْقِرُوْنَ صَلَاتَکُمْ مَعَ صَلَاتِهِمْ يَقْرَءُوْنَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ حُلُوْقَهُمْ أوْ حَنَاجِرَهُمْ يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّيْنِ مُرُوقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَّةِ. . . الحديث. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ.

11.          “Hazrat Aboo Salamah Aur Hazrat ‘Ata’ Bin Yasar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Dono’n Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khidmat Me Haazir Hu’e Aur ‘Arz Kiya: Kya Aap Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Harooriyya Ke Baare Me Kuchh Suna Hai? To Unhone Farmaya Ki Mujhe Nahin Ma’loom Ki Harooriyya Kya Hai? Haa’n Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Hai Ki Is Ummat Me Se Kuchh Aise Log Niklenge Aur Yeh Nahin Farmaya Ki Ek Aisi Qaum Niklegi (Balki Log Farmaya) Jin Kee Namazo’n Ke Muqaabale Me Tum Apni Namazo’n Ko Haqeer Jaanoge, Woh Qur’ane Majeed Kee Tilaawat Karenge Lekin Ye (Qur’an) Un Ke Halq Se Nahin Utrega Ya Yeh Farmaya Ki Un Ke Narkhare Se Neeche Nahin Utrega Aur Woh Deen Se Yoo’n Khaarij Ho Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6532,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1928, Raqm-4771,

Muslim Fi As-Sahih, 02/743, Raqm-1064,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/204, Raqm-478,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/31, Raqm-8089,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/60, Raqm-11596,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/132, Raqm-6737,

Bukhari Khalq Af’al Al-Ibad, 01/53,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/560, Raqm-37920,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/430, Raqm-1233,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-22, 23, Raqm-11.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 12

١٢.          عَنْ أبِي سَعِيْدٍ الْخُدْرِيِّ وَ أنَسِ بْنِ مَالِکٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما عَنْ رَسُوْلِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ: سَيَکُونُ فِي أمَّتِي اخْتِلَافٌ وَ فُرْقَةٌ قَوْمٌ يُحْسِنُوْنَ الْقِيْلَ وَ يُسِيْءُونَ الْفِعْلَ يَقْرَأوْنَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ (وَ فِي رِوَايَةٍ: يَحْقِرُ أَحَدُکُمْ صَلَاتَهُ مَعَ صَلَاتِهِمْ وَ صِيَامَهُ مَعَ صِيَامِهِمْ) يَمْرُقُوْنَ مِنَ الدِّيْنِ مُرُوْقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَّةِ لَا يَرْجِعُوْنَ حَتَّی يَرْتَدَّ عَلَی فُوْقِهِ هُمْ شَرُّالْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ طُوبَی لِمَنْ قَتَلَهُمْ وَ قَتَلُوهُ يَدْعُونَ إِلَی کِتَابِ ﷲ وَ لَيْسُوا مِنْهُ فِي شَيءٍ مَنْ قَاتَلَهُمْ کَانَ أوْلَی بِاﷲِ مِنْهُمْ قَالُوْا: يَا رَسُولَ ﷲ مَا سِيْمَاهُمْ؟ قَالَ: التَّحْلِيقُ.

وَ فِي رِوَايَةٍ: عَنْ أنَسٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ أَنَّ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ نَحْوَهُ: سِيْمَاهُمْ التَّحْلِيْقُ وَ التَّسْبِيْدُ.

رَوَاهُ أبُودَاوُدَ وَ ابْنُ مَاجَةَ مُخْتَصْرًا وَ أحْمَدُ وَ الْحَاکِمُ.

12.          “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri Aur Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: ‘Anqareeb Meri Ummat Me Ikhtelaf Aur Tafreka Baazi Hogi, Ek Qaum Aisi Hogi Ki Woh Log Guftaar Ke Achchhe Aur Kirdaar Ke Bure Honge, Qur’an Paak Padhenge Jo Un Ke Gale Se Nahin Utrega (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Tum Apni Namazo’n Aur Rozo’n Ko Un Kee Namazo’n Aur Rozo’n Ke Muqaabale Me Haqeer Samjhoge) Woh Deen Se Aise Khaarij Ho Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai Aur Waapas Nahin Aa’enge Jab Tak Teer Kamaan Me Waapas Nahin Aa Jaa’e Woh Saari Makhlooq Me Sab Se Bure Honge, Khush-Khabri Ho Use Jo Unhe’n Qatl Kare Aur Jise Woh Qatl Kare’n. Woh Allah ‘Azza Wa-Jalla Kee Kitaab Kee Taraf Bulaa’enge Lekin Us Ke Saath Un Ka Ko’i Ta’alluq Nahin Hoga Un Ka Qaatil Un Kee Nisbat Allah Ta’ala Se Ziyaada Qareeb Hoga. Sahaba-e Kiram Ne ‘Arz Kiya: Ya Rasool Allah! Un Kee Nishaani Kya Hai? Farmaya: Sir Mundaana.”

“Ek Aur Riwayat Me Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Isi Tarh Farmaya: Un Kee Nishaani Sar Mundaana Aur Hamesha Mundaa’e Rakhna Hai.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/243, Raqm-4765,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/60, Raqm-169,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/224, Raqm-13362,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/161, Raqm-2649,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,07/15, Raqm-2391, 2392,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/426, Raqm-3117,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/121, Raqm-7553,

Maruzi As-Sunnah, 01/20, Raqm-52,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-23, 24, 25, Raqm-12.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 13

١٣.          عَنْ شَرِيْکِ بْنِ شِهَابٍ قَالَ: کُنْتُ أتَمَنَّی أنْ ألْقَی رَجُلاً مِنْ أصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ أسْألُهُ عَنِ الْخَوَارِجِ، فَلَقِيْتُ أبَا بَرْزَةَ فِي يَومِ عِيْدٍ فِي نَفَرٍ مِنْ أصْحَابِهِ فَقُلْتُ لَهُ: هَلْ سَمِعْتَ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَذْکُرُ الْخَوَارِجَ؟ فَقَالَ: نَعَمْ، سَمِعْتُ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ بِأذُنِي وَرَأيْتُهُ بِعَيْنِي أتِيَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ بِمَالٍ فَقَسَمَهُ، فَأعْطَی مَنْ عَنْ يَمِيْنِهِ وَ مَنْ عَنْ شِمَالِهِ، وَلَمْ يُعْطِ مَنْ وَرَاءَهُ شَيْئًا، فَقَامَ رَجُلٌ مِنْ وَرَائِهِ. فَقَالَ: يَا مُحَمَّدُ، مَا عَدَلْتَ فِي القِسْمَةِ، رَجُلٌ أسْوَدُ مَطْمُومُ الشَّعْرِ، عَلَيْهِ ثَوْبَانِ أبْيَضَانِ (وزَادَ أحْمدُ: بَيْنَ عَيْنَيْهِ أثَرُ السُّجُودِ(، فَغَضِبَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ غَضَبًا شَدِيْدًا، وَ قَالَ: وَاﷲِ، لَا تَجِدُوْنَ بَعْدِي رَجُلًا هُوَ أعْدَلُ مِنِّي، ثُمَّ قَالَ: يَخْرُجُ فِي آخِرِ الزَّمَانِ قَوْمٌ کَأنَّ هَذَا مِنْهُمْ (وَ فِي رِوَايَةٍ: قَالَ: يَخْرُجُ مِنْ قِبَلِ الْمَشْرِقِ رِجَالٌ کَانَ هَذَا مِنْهُمْ هَدْيُهُمْ هَکَذَا) يَقْرَءُوْنَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ، يَمْرُقُونَ مِنَ الإِسْلَامِ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَّةِ، سِيْمَاهُمُ التَّحْلِيْقُ، لَا يَزَالُوْنَ يَخْرُجُونَ حَتَّی يَخْرُجَ آخِرُهُمْ مَعَ المَسِيْحِ الدَّجَّالِ، فَإِذَا لَقِيْتُمُوهُمْ فَاقْتُلُوهُمْ، هُمْ شَرُّ الْخَلْقِ وَالْخَلِيْقَةِ.

رَوَاهُ النَّسَائِيُّ وَ أحْمَدُ وَالْبَزَّارُ وَالْحَاکِمُ.

.وَقَالَ الْحَاکِمُ: هَذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحٌ. وَ رِجَالُهُ رِجَالُ الصحيح کَمَا قَالَ الْهَيْثَمِيُّ

13.          “Hazrat Sharik Bin Shihab Ne Bayan Kiya Ki Mujhe Is Baat Kee Khaahish Thi Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kisi Sahaabi Se Miloo’n Aur Un Se Khawaarij Ke Muta’alliq Daryaaft Karoo’n. Ittefaaqan Mein Ne Eid Ke Roz Hazrat Aboo Barzah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Aap Ke Ka’i Dosto’n Ke Saath Dekha Mein Ne Daryaaft Kiya: Kya Aap Ne Khaarjiyo’n Ke Baare Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Kuchh Suna Hai? Aap Ne Farmaya: Haa’n, Mein Ne Apne Kaano’n Se Suna Aur Aankho’n Se Dekha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Kuchh Maal Pesh Kiya Gaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Maal Ko Un Logo’n Me Taqseem Farma Diya Jo Daa’in Aur Baa’in Taraf Baithey Hu’e They Aur Jo Log Peechhe Baithey They Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Kuchh ‘Inaayat Na Farmaya, Chuna’nche Un Me Se Ek Shakhs Khada Hu’a Aur Us Ne Kaha, Ae Muhammad! Aap Ne Insaaf Se Taqseem Nahin Kee. Woh Siyaah Rang, Sar Munda Aur Sufed Kapde Pehne Hu’e Tha. (Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Izaafa Kiya Ki Us Kee Dono’n Aankho’n Ke Darmiyan (Peshaani Par) Sajdon  Ka  Asar Tha). Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Shadeed Naaraaz Hu’e Aur Farmaya: Khuda Kee Qasam! Tum Mere Baa’d Mujh Se Badh Kar Kisi Shakhs Ko Insaaf Karne Waala Na Paa’oge,  Phir Farmaya: Aakhiri Zamaane Me Kuchh Log Paida Honge Yeh Shakhs Bhi Unhi’n Logo’n Me Se Hai (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Mashriq Kee Taraf Se Ek Qaum Niklegi Yeh Aadami Bhi Un Logo’n Me Se Hai Aur Un Ka Taur Tareeqa Bhi Yahi Hoga) Woh Qur’an Majeed Kee Tilawat Karenge Magar Qur’an Un Ke Halq Se Neeche Na Utrega Woh Islam Se Is Tarh Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai. Un Kee Nishaani Yeh Hai Ki Woh Sar Munde Honge, Hamesha Nikalte Hee Rahenge Yaha’n Tak Ki Un Ka Aakhiri Giroh Dajjaal Ke Saath Niklega Jab Tum Un Se Milo To Unhe’n Qatl Kar Do. Woh Tamaam Makhlooq Se Bad-Tareen Hain.”

[Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, Raqm-4103,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/312, Raqm-3566,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/421,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/294, 305, Raqm-3846,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/160, Raqm-2647,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/559, Raqm-37917,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/452, Raqm-927,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/124, Raqm-923,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,12/292,

Qaysrani Tazkirat-ul-Huffaz, 03/1101,

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/188,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-25, 26, 27, Raqm-13.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 14

١٤.          عَنْ أبِي سَلَمَةَ قَالَ: قُلْتُ لِأبِي سَعِيْدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: هَلْ سَمِعْتَ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَذْکَرُ فِي الْحَرُورِيَةِ شَيْئًا؟ فَقَالَ: سَمِعْتُهُ يَذْکُرُ قَوْمًا يَتَعَبَّدُونَ (وَ فِي رِوَايَةِ أحْمَدٍ: يَتَعَمَّقُوْنَ فِي الدِّيْنِ) يَحْقِرُ أحَدُکُمْ صَلَاتَهُ مَعَ صَلَاتِهِمْ وَ صَومَهُ مَعَ صَومِهِمْ يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّيْنِ کَمَا يَمْرُقُ السَّهْمُ مِنَ الرَّمِيَةِ أخَذَ سَهْمَهُ فَنَظَرَ فِي نَصْلِهِ فَلَمْ يَرَ شَيْئًا، فَنَظَرَ فِي رِصَافِهِ فَلَمْ يَرَ شَيْئًا فَنَظَرَ فِي قِدْحِهِ فَلَمْ يَرَ شَيْئًا، فَنَظَرَ فِي الْقُذَذِ فَتَمَارَی هَلْ يَرَی شَيْئًا أمْ لَا. رَوَاهُ ابْنُ ماجة وَ أحْمَدُ.

14.          “Aboo Salamah Kehte Hain Mein Ne Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Daryaaft Kiya: Kya Aap Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Harooriyya  (Ya’ani Khawaarij) Ke Muta’alliq Ko’i Hadith Suni Hai? Unhone Farmaya: Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Qaum Ka Zikr Farmaya Hai Jo Khoob ‘Ibadat Karegi (Imam Ahmad Kee Ek Riwayat Me Hai Ki Woh Deen Me Intehaa’i Pukhta Nazar Aa’enge)  Aur (Yaha’n Tak Ki) Tum Apni Namazo’n Aur Rozo’n Ko Un Kee Namazo’n Aur Rozo’n Ke Muqaabala Me Haqeer Samjhoge. Woh Deen Se Aise Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se, Ki Aadami Apne Teer Ko Utha Kar Us Ke Phal Ko Dekhe To Us Me Ko’i Khoon Waghaira Nazar Na Aa’e Phir Woh Teer Kee Lakdi Ko Dekhe Us Me Ko’i Bhi Nishaan Na Paa’e Phir Us Kee Nok Ko Dekhe Aur Ko’i Bhi Nishaan Nazar Na Aa’e Phir Teer Ke Par Ko Dekhe Us Me Bhi Kuchh Nazar Na Aa’e.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/60, Raqm-169,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 30/33, Raqm-11309,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/557, Raqm-37909,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-27, 28, Raqm-14.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 15

١٥.          عَنْ عَبْدِ ﷲ بْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ وَ هُوَ عَلَی الْمِنْبَرِ: ألاَ إِنَّ الْفِتْنَةَ هَاهُنَا يُشِيْرُ إِلَی الْمَشْرِقِ مِنْ حَيْثُ يَطْلُعُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ وَ هَذَا لَفْظُ الْبُخَارِيِّ.

15.         “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mimbar Par Yeh Farmate Hu’e Suna: Khabardaar Ho Jaa’o! Fitna Udhar Hai Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mashriq Kee Taraf Ishaara Karte Hu’e Farmaya: Yahi’n Se Shaitaan Ka Seeng Zaahir Hoga.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1293, Raqm-3320,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1195, Raqm-3105,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2229, Raqm-2905,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/975, Raqm-1757,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,  02/73, Raqm-5468,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/25, Raqm-6649,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-28, Raqm-15.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 16

١٦.          عَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما: أنَّهُ سَمِعَ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ وَ هُوَ مُسْتَقْبِلُ الْمَشْرِقِ يَقُولُ: ألَا إِنَّ الْفِتْنَةَ هَاهُنَا مِنْ حَيْثُ يَطْلُعُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ.

مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ.

16.          “Hazrat (‘Abd Allah) Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashriq Kee Jaanib Chehra Mubarak Kar Ke Farma Rahe They: Khabardaar Ho Jaa’o Ki Fitna Udhar Hai Jaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Niklega.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2598, Raqm-6680,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2228, Raqm-2905,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/91, Raqm-5659,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/122, Raqm-387,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 01/246, Raqm-43,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-28, 29, Raqm-16.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 17

١٧.          عَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما قَالَ: ذَکَرَ النَّبِيُّ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: اللَهُمَّ بَارِکْ لَنَا فِي شَامِنَا اللَّهُمَّ بَارِکْ لَنَا فِي يَمَنِنَا قَالُوا: يَا رَسُولَ ﷲ، وَ فِي نَجْدِنَا؟ قَالَ: اللَهُمَّ بَارِکْ لَنَا فِي شَامِنَا اللَهُمَّ بَارِکْ لَنَا فِي يَمَنِنَا، قَالُوا: يَا رَسُولَ ﷲ، وَ فِي نَجْدِنَا فَأظُنُّهُ قَالَ فِي الثَّالِثَةِ: هُنَاکَ الزَّلَازِلُ وَ الْفِتَنُ، وَ بِهَا يَطْلُعُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ. رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ وَ التِّرْمِذِيُّ وَ أحْمْدُ.

وَ قَالَ أبُو عِيْسَی: هَذَا حَدِيْثٌ حَسَنٌ صَحِيْحٌ.

17.          “Hazrat (‘Abd Allah) Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’a Farmaa’i, Ae Allah! Hamaare Liye Hamaare Shaam Me Barkat ‘Ata Farma, Ae Allah! Hame’n Hamaare Yaman Me Barkat ‘Ata Farma, (Baa’z) Logo’n Ne ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah!   Hamaare   Najd   Me   Bhi?   Aap  SallAllahu  Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Phir) Du’a Farmaa’i: Ae Allah! Hamaare Liye Hamaare Shaam Me Barkat ‘Ata Farma. Ae Allah! Hamaare Liye Hamaare Yaman Me Barkat ‘Ata Farma. (Baa’z) Logo’n Ne (Phir) Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Hamaare Najd Me Bhi Mera Khyaal Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Teesri Martaba Farmaya: Waha’n Zalzale Aur Fitne Honge Aur Shaitaan Ka Seeng (Fitna-e Wahabiyyat) Wahin Se Niklega.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2598, Raqm-6681,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/351, Raqm-990,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/733, Raqm-3953,

Ahmad Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/118, Raqm-5987,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/290, Raqm-7301,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/384, Raqm-13422,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 01/251, Raqm-46,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/29, Raqm-4666,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-29, 30, Raqm-17.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 18

١٨.          أخرج البخاري في صحيحه في ترجمة الباب: قَولُ ﷲ تَعَالَی: ﴿وَمَا کَانَ ﷲ لِيُضِلّ قَومًا بَعْدَ إِذْ هَدَاهُمْ حَتَّی يُبَيِنَ لَهُمْ مَا يَتَّقُونَ  ﴾ [التوبة، ٩ : ١١٥ ] وَ کَانَ ابْنُ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما يَرَاهُمْ شِرَارَ خَلْقِ ﷲ، وَ قَالَ: إِنَّهُمُ انْطَلَقُوا إِلَی آيَاتٍ نَزَلَتْ فِي الْکُفَّارِ فَجَعَلُوْهَا عَلَی الْمُؤْمِنِيْنَ.

و قال العسقلاني في الفتح: و صله الطبري في مسند علي من تهذيب الآثار من طريق بکير بن عبد ﷲ بن الأشج: أنَّهُ سَألَ نَافِعًا کَيْفَ کَانَ رَأی ابْنُ عُمَر فِي الْحَرُوْرِيَةِ؟ قَالَ: کَانَ يَرَاهُمْ شِرَارَ خَلْقِ ﷲ، انْطَلَقُوا إِلَی آيَاتِ الْکُفَّارِ فَجَعَلُوهَا فِي الْمُؤْمِنِيْنَ.

قلت: و سنده صحيح، و قد ثبت في الحديث الصحيح المرفوع عند مسلم من حديث أبي ذر رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ في وصف الخوارج: هُمْ شِرَارُ الْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ. و عند أحمد بسند جيد عن أنس مرفوعًا مثله.

و عند البزار من طريق الشعبي عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا قَالَتْ: ذَکَرَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ الْخَوَارِجَ فَقَالَ: هُمْ شِرَارُ أمَّتِي يَقْتُلُهُمْ خِيَارُ أمَّتِي. وسنده حسن.

و عند الطبراني من هذا الوجه مرفوعا: هُمْ شِرَارُ الْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ يَقْتُلُهُمْ خَيْرُ الْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ. و في حديث أبي سعيد رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ عند أحمد: هُمْ شَرُّ الْبَرِيَةِ.

و فِي رواية عبيد ﷲ بن أبي رافع عن علي رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ عند مسلم: مِنْ أبْغَضِ خَلْقِ ﷲ إِلَيْهِ.

و في حديث عبد ﷲ بن خباب رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ يعني عن أبيه عند الطبراني: شَرُّ قَتْلَي أظَلَّتْهُمُ السَّمَاءُ وَ أقَلَّتْهُمُ الْأرْضُ. و في حديث أبي أمامة رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ نحوه.

و عند أحمد و ابن أبي شيبة من حديث أبي برزة مرفوعًا في ذکر الخوارج: شَرُّ الْخَلْقِ وَ الْخَلِيْقَةِ يَقُولُهَا ثَلَاثًا.

و عند ابن أبي شيبة من طريق عمير بن إسحاق عَنْ أبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: هُمْ شَرُّ الْخَلْقِ. و هذا مما يؤيد قول من قال بکفرهم.

18.          “Imam Bukhari Ne Apni Sahih Me Baab Ke ‘Unwaan Ke Taur Par Yeh Hadith Riwayat Kee Hai: Allah Ta’ala Ka Farman: “Aur Allah Kee Shaan Nahin Ki Woh Kisi Qaum Ko Gumraah Kar De. Is Ke Baa’d Ki Us Ne Unhe’n Hidayat Se Nawaz Diya Ho, Yaha’n Tak Ki Woh Un Ke Liye Woh Cheeze’n Waazeh Faruma De Jin Se Unhe’n Parhez Karna Chaahiye.” Aur (‘Abd Allah) Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Un (Khawaarij) Ko Allah Ta’ala Kee Bad-Tareen Makhlooq Samajhte They. (Kyun Ki) Unhone Allah Ta’ala Kee Un Aayaat Ko Liya Jo  Kuffaar  Ke  Haqq  Me  Naazil  Hu’i  Thi’n  Aur  Un Ka Itlaaq Momineen Par Karna Shuroo’ Kar Diya.

Aur Imam ‘Asqalani “Fat’h-ul-Bari” Me Bayan Karte Hain Ki Imam Tabari Ne Is Hadith Ko Tahzib-ul-Aathar Se Bukayr Bin ‘Abd Allah Bin Ashajj Ke Tareeq Se Musnade ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Shaamil Kiya Hai Ki Unhone Nafi’ Se Poochha Ki ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Harooriyya  (Khawaarij) Ke Baare Me Kya Raa’e Thi? To Unhone Farmaya: Woh Unhe’n Allah Ta’ala Kee Makhlooq Ke Bad-Tareen Log Khayaal Karte They Jinhone Allah Ta’ala Kee  Un  Aayaat Ko Liya  Jo  Kuffaar Ke Haqq Me Naazil Hu’i’n Thi Aur Un Ka Itlaaq Momineen Par Kiya.

Mein (Ibne Hajar ‘Asqalani) Kehta Hoo’n Ki Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai Aur Tehqeeq Yeh Sanade Hadith Sahih Marfoo’ Me Imam Muslim Ke Haa’n Aboo Dhar Ghaffari Kee Khawaarij Ke Wasf Waali Hadith Me Saabit Hai Aur Woh Hadith Yeh Hai Ki “Woh Khalq Aur Khulq Me Bad-Tareen Log Hain” Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ke Haa’n Bhi Usi Kee Misl Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Marfoo’ Hadith Hai.

Aur Imam Bazzar Ke Haa’n Sha’bi Ke Tareeq Se Woh Hazrat ‘Aa’ishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Karte Hain Ki Aap Ne Farmaya: Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Khawaarij Ka Zikr Kiya Aur Farmaya: “Woh Meri Ummat Ke Bad-Tareen Log Hain Aur Un Ko Meri Ummat Ke Behtareen Log Qatl Karenge.” Aur Is Hadith Kee Sanad Hasan Hai.

Aur Imam Tabarani Ke Haa’n Usi Tareeq Se Marfoo’ Hadith Me Marwi Hai Ki “Woh (Khawaarij) Bad-Tareen Khalq Aur Khulq Waale Hain Aur Un Ko Behtareen Khalq Aur Khulq Waale Log Qatl Karenge.”

Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ke Haa’n Hazrat Aboo Sa’iyd Waali Hadith Me Hai Ki “Woh (Khawaarij) Makhlooq Me Se Sab Se Bad-Tareen Log Hain.”

Aur Imam Muslim Ne ‘Ubayd Allah Bin Abi Rafi’ Kee Riwayat Me Bayan Kiya Jo Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Kee Ki “Yeh (Khawaarij) Allah Ta’ala Kee Makhlooq Me Se Us Ke Nazdeek Sab Se Bad-Tareen Log Hain.”

Aur Imam Tabarani Ke Haa’n ‘Abd Allah Bin Khabbab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waali Hadith, Jo Woh Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Me Hai Ki “Yeh (Khawaarij) Bad-Tareen Maqtool Hain Jin Par Aasmaan Ne Saaya Kiya Aur Zameen Ne Un Ko Uthaaya.” Aur Aboo Umamah Waali Hadith Me Bhi Yehi Alfaz Hain.

Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Ibn Abi Shaybah Aboo Barzah Kee Hadith Ko Marfoo’an Khawaarij Ke Zikr Me Bayan Karte Hain Ki “Woh (Khawaarij) Bad-Tareen Khalq Aur Khulq Waale Hain.”
Aisa Teen³ Daf’a Farmaya.

Aur Ibn Abi Shaybah Ke Haa’n Umar Bin Is’haq Ke Tareeq Se Woh Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki “Woh (Khawaarij) Bad-Tareen Makhlooq Hai.” Aur Yeh Woh Cheez Hai Jo Us Shakhs Ke Qaul Ki Taa’id Karti Hai Jo Un Ko Kaafir Qaraar Deta Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2539,

Muslim Fi As-Sahih, 02/750, Raqm-1067,

Muslim Fi As-Sahih, 02/749, Raqm-1066,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/243, Raqm-4765,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, 120, Raqm-4103,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/60, Raqm – 170,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/15, 224, Raqm-11133, 13362,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/421, 424,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/31, 176, Raqm-21571,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/387, Raqm-6939,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/557, 559, Raqm-37905, 37917,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/294/305, Raqm-3846,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/167, Raqm-2659,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/186, Raqm-6142,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/335, Raqm-7660,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/42, Raqm-33,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/19, Raqm-4461,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/266, Raqm-8033,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/188,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/337, Raqm-2963,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/230, 239,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,12/286, Raqm-6532,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Taghliq At-Ta’liq, 05/259,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 23/335,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’,Safha-30 Ta 34, Raqm-18.]

Posted in Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 19

١٩.          عَنْ أبِي غَالِبٍ قَالَ: رَأی أبُو أمَامَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ رُءُوْسًا مَنْصُوْبَةً عَلَی دَرَجِ مَسْجِدِ دِمَشْقَ، فَقَالَ أبُو أمَامَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ: کِلَابُ النَّارِ شَرُّ قَتْلَی تَحْتَ أدِيْمِ السَّمَاءِ خَيْرُ قَتْلَی مَنْ قَتَلُوهُ ثُمَّ قًرَأ: ﴿يَوْمَ تَبْيَضُّ وُجُوهٌ وَ تَسْوَدُّ وُجُوهٌ﴾ إِلَی آخِرِ الآيَةِ ]آل عمران، ٣:  ١٠٦[ قُلْتُ لِأبِي أمَامَةَ: أنْتَ سَمِعْتَهُ مِنْ رَسُولِ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ؟ قَالَ: لَوْ لَمْ أسْمَعْهُ إِلَّا مَرَّةً أوْ مَرَّتَيْنِ أوْ ثَلَاثًا أوْ أرْبَعًا حَتَّی عَدَّ سَبْعًا مَا حَدَّثْتُکُمُوهُ.

رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ وَ أحْمَدُ وَالْحَاکِمُ.

وَ قَالَ أبُوعِيْسَي: هَذَا حَدِيْثٌ حَسَنٌ. وَقَالَ الْحَاکِمُ: هَذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحٌ.

19.          “Aboo Ghalib Ne Hazrat Aboo Umamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kiya  Ki  Unhone Masjide Dimashq Kee Sidhiyo’n Par (Khaarjiyo’n Ke) Sar Nasb Ki’e Hu’e Dekhe To Farmaya: Jahannam Ke Kutte, Aasmaan Ke Neeche Bad-Tareen Makhlooq Hain. Aur Woh Shakhs Behtareen Maqtool Hai Jise Unhone Qatl Kiya. Phir Aap Ne Yeh Aayat Padhi: “Jis Din Ka’i Chehre Safed Honge Aur Ka’i Chehre Siyaah Honge.” Aboo Ghalib Kehte Hain Ki Mein Ne Hazrat Aboo Umamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se ‘Arz Kiya: Kya Aap Ne Yeh Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Hai? Unhone Farmaya: Agar Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ek¹, Do², Teen³, Chaar⁴, Yaha’n Tak Ki Saat⁷ Baar Tak Gina, Suna Hota To Tum Se Bayan Na Karta (Ya’ani Baarha Suna Hai).”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/226, Raqm-3000,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/256, Raqm-22262,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/163, Raqm-2655,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/188,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/248, Raqm-1279,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir 08/271, Raqm-8044,

Mahamili Fi Amali, 01/408, Raqm-478, 479,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/643, Raqm-1542, 1546,

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/189,

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-34, 35, Raqm-19.]